Takleef me hu mai bahut aaj,

Takleef me hu mai bahut aaj,
Mujhe ab aur yu naa sataa tu,
Lekar mujhse wafaa ka vasta,
Bewafai ka ilzaam yu naa lagaa tu…..
 
Intezaar ki tadap bas ye dil jaanta hai,
Apne aane ka ehsaan yu naa jataa tu,
Aankho me jo ek sapnaa basaaya tha,
Unhe tod kar, aankho ko yu na rulaa tu….
 
Jaan bhi haazir kar denge waqt aane pe,
Kaayar keh kar mujhe , yu naa aazmaa tu,
Hoto pe naam jab bhi aaya – vo teraa hi thaa,
Yaad naa karne ka ilzaam yu naa lagaa tu….
 
Isse jyaada kyaa koi hamaara intehaan legaa,
Jab bhi sochaa bas mehsoos huaa tu hi tu,
Haste hoto ke peeche kitni aankhe nam hai,
Meri bebasi ko hasi me yu naa udaa tu….
 
Naam tere kar jaayenge hum duaae apni,
Pyaar ka ye tohfaa yu naa thukraa tu,
Takleef me hu mai bahut aaj,
Mujhe ab aur yu naa sataa tu….

Published in: on March 12, 2009 at 8:35 pm Comments (10)

Na Milegaa…

Bheegi hui aankhon ka yeh manzar na milega
Ghar chhod ke mat jao,kahin ghar na milega
 
Phir yaad bohot aayegi Zulfon ki ghani shaam
Jab dhoop main, saaya koi sar pe na milega
 
Ansoon ko kabhi os ka katra na samajhna
Aisa tumhein chahat ka samandar na milega
 
Is khwab ke mahol main bekhwab hain aankhein
Jab neend bohot aayegi to bistar na milega
 
Yeh soch lo, Ab aakhiri saya hai mohabbat
Is Dar se uthoge to koi dar na milega

Published in: on at 8:21 pm Comments (1)

Ajnabi Ajnabi…

ajnabi banke mile the jo zindagi me kabhi,
fir ban gaye vo ajnabi ajnabi….

mehki mehki raate thi,mehke mehke din,
aaj ki ye raat naa jaane kyu ajnabi ajnabi….

chaha humne jinhe apne aap se jyaada,
hamaari chahat aaj unke liye ajnabi ajnabi….

ek hi raah nazar aayi hamesha unki aankho me,
aaj har raastaa lag rahaa ajnabi ajnabi….

haatho ki lakeero se hum jinhe churaa laaye the,
aaj vo lakeere lag rahi ajnabi ajnabi…

aankho me jinki hum rahaa karte the kabhi,
aaj vo aankho me hum ajnabi ajnabi….

har pal apnaa banaake jinhe mehfooz rakhaa humne,
aaj unhone rukh badal liyaa kehke hume ajnabi ajnabi….

ajnabi banke mile the jo zindagi me kabhi,
fir ban gaye vo ajnabi ajnabi….
 

Published in: on July 26, 2008 at 9:13 am Comments (8)

HUMSE PUCHIYE

EK PAL MEIN IK SADI KA MAZA HUMSE PUCHIYE
DO DIN KI ZINDAGI KA MAZA HUMSE PUCHIYE
BHULE HAIN RAFTA-RAFTA TUMHE MUDDATON MEIN HUM
KISHTON ME KHUDKUSHI KA MAZA HUMSE PUCHIYE

Published in: on July 20, 2008 at 3:38 pm Comments (9)

Maine jaana…

Tujhse Bichhad Ke Aye HuMsafar Aaj Maine Jaana
Hota Hai Kya Saanso Ka Dhadkan Se Rishta Toot Jana

Published in: on at 3:30 pm Comments (3)

Duaao me…

zindagi ek chahat ka silsila hai,
koi mil jata hai,koi bichad jata hai,
jise mangte hai hum apni duao main,
vo kisi aur ko bina maange hi mil jata hai…

Published in: on July 9, 2008 at 6:00 pm Comments (16)

Judaai ka anjaam

Tere maasum sawaalo ke jawaab kaise du,
Is dil me chupe dard ka hisaab kaise du,
Saath denaa chahte hai teraa aaj bhi hum,
Par saath ke baad tujhe judaai ka anjaam kaise du….

Published in: on at 5:59 pm Leave a Comment

Diwaana banaa diyaa

Hamara har lamha chura liya aapne,
aankhon ko ik chand dikha diya aapne,
jahaa jaaye bas lagtaa hai aap hi aap ho,
khayaalo me rehkar hume diwaana banaa diyaa aapne…

Published in: on at 5:58 pm Comments (10)

Humne tujhse hi pyaar kiyaa hai….

gazab kiya tere waade ka aitbaar kiya
tamam raat qayaamat ka intezaar  kiya…                     

teri nigaah ke tasavvur me ae qaatil
tadap tadap ke humne deedar kiyaa…

aaj mai badalnaa chahtaa hu apni kismat
ke har pal kismat ne humpe vaar kiyaa…

aaj raat naa thukraa tu meri is mohabbat ko,
baaho me figal jaao,bas humne tujhse hi pyaar kiyaa….

Published in: on at 5:56 pm Leave a Comment

Yaad reh jaayegi…

Chaha to zindagi se bahut kuch,
magar tujhe pane ki ek pyas si reh jaayegi,
chah kar bhi tujhe pa na sakenge hum,
bus teri meethi si yaad reh jaayegi….

Published in: on at 5:52 pm Comments (2)