Kitni jaldi mulaakat guzar jaati hai
Pyaas nahi bujhti barsaat guzar jaati hai
Apni yaado ko kehdo yu naa aaya kare
Neend aati nahi raat guzar jaati hai…….
Kitni Jaldi….
Yaad bankar…
Khushbu ki tarah…
Aapko mehkaake hum to chale jaayenge,
Shaayad tabhi…
Hum aapko dil se yaad aayenge,
Ho saktaa hai us pal…
Aaapki aankho se aansu chalak jaayenge,
Aapke laakh bulaane par bhi..
Shaayad hum laut ke naa aayenge,
Par gam naa karnaa…
Yaad bankar hum aapke dil me jaroor bas jaayenge…..