Waqt ki ho dhoop yaa ho tej aandhiyaa,
Kuch kadmo ke nishaan kabhi nahi khote,
Jinhe yaad karke muskuraade aankhe,
Wo log door hokkar bhi door nahi hote…..
Waqt ki ho dhoop….
chalaa gayaa hai koi……………
Majboor tha tabhi chalaa gayaa hai koi,
Gamo se choor tha tabhi chalaa gayaa hai koi,
Khushi se kise manjoor hai judaai yaar ki,
Waqt se haara tha,tabhi chalaa gayaa hai koi……………
Fark sirf itnaa hogaa…..
Tum kisi ki zindagi main ja rahi hogi
Main tumhari zindagi se ja raha honga
Mera naseeb teri kismat se acha hoga
Mera gham teri khushi se acha hoga
Yakeen na aae to apni ankhoon se dekhna
Mera janaza teri baraat se acha hoga
Mere samne rukhsat jo teri baraat hogi
Us lamhe gul-e-shamay hayaat hogi
Wo bhi jaan kaisi aafat ki raat hogi
Pehloo main kisi ke meri Kainaat hogi ……………………
– Author Unknown
Na jane kyu…
Na jane kyu hame aansu bahana nahi ata.
na jane kyu hale dil batana nahi aata .
kyu sathi bichad jate hai hamesha hamse .
shayad hame hi sath nibana nahi aata….
ISHQ…
Khuda ne jab ishq banaya hoga,
To khud bhi zaroor aazmaya hoga;
Hum hain kaun aur tum ho kya,
Is ISHQ ne to khuda ko bhi rulaya hoga!!
Khayalo me ….
Khayalo me halke halke ye hum kyaa kar baithe,
Jo apnaa naa thaa,usse hi dil lagaa baithe…
Hosh jo aaya hame to fir madhosh ho gaye
Khayaalo me hi fir apne aap ko unke hawaale kar baithe……