Mujhe achaa banaane ki fir koshish chali…
Kinaare dariyaa milaane ki fir koshish chali…
Kabhi apnaa kabhi duniyaa ka vastaa dekar…
Mujhe mujh se chudaane ki fir koshish chali….
Koshish chali….
Band kahaani…
Aankho me aansu bhi hai muskaan bhi,
Dhaago me gaathe bhi hai sandhaan bhi,
Ye dil me kaisee kasak hai…
Meri chaahat ajeeb hai,naadan bhi…
Sawarte bhi gaye kabhi,Kabhi bikhre bhi,
Khamoshi hai kabhi,Kabhi tanhaai bhi,
Ye kaise aalam me rehne lage hum…
Hasaate hai apne aapko,kabhi rulaate bhi…
Dhoka detaa hai kabhi waqt,Kabhi kabhi kismat bhi,
Hum inkaar karte hai kabhi,Kabhi izhaar bhi,
Naa chedo hume hum to gum ho chuke…
Khuli kitaab bhi hai aur band kahaani bhi…
Falak pe…
Falak pe jitne sitaare hai,
Sab me tere nazaare hai…
Maloom hai naa milenge kabhi,
Hum nadi ke do kinaare hai…
Tu chupaa le ye baat magar,
Tere zehen me khayaal hamaare hai…
Lab jo naa kar sake bayaa,
Keh gaye aankho ke ishaare hai…
Tere naam kar diye humne vo lamhe,
Jo teri ulfat me guzaare hai…
Gam nahi tum hamaare naa hue,
Hum to tamaam umr tumhaare hai…
Tujh pe hak to nahi hai meraa,
Par tere khwaab to hamaare hai…
Na kare…
Woh dil hi kia tere milne ki jo dua na kare
Main tujh ko bhool ke zinda rahon khuda na kare
Rahega sath tera Pyar zindagi ban kar
Yeh aur baat hai zindagi hi wafa na kare
Yeh theek hai nahi marta koi judai main
Khuda kisi ko kisi se magar juda na kare
Agar wafa pe bharosa rahe na dunya ko
To koi shaks mohabbat ka hosla na kare
Suna hai mohabbat us ko duaain deti hai
Jo dil pe chot khaye magar gila na kare
Bujha diya hai naseebon ne mere pyar ka chand
Koi dia meri palkon pe ab jala na kare
Mausam…
Har ashq ka matlab gam nahi hotaa,
Duriyo se pyaar kam nahi hota,
Aankhe to yu hi kabhi kabhi ho jaati hai nam,
Kyaa kare…Yaado ka to koi mausam nahi hotaa…
(nam = gili)
Jisne humko chaaha…
Jisne humko chaaha use hum chaah naa sake,
Jisko chaaha use hum paa naa sake….
Ye samajhlo dil tutne ka khel hai,
Kisi ka todaa aur apnaa bachaa naa sake!!!
Adhuri Kahaani Ko Main Shuroo Kyun Karoon
Hokar Zameen Ki, Aasmaan Ki Chaah Kyun Karoon
Main Tujh ko Paanay Ki Tamanna Kyun Karoon
Mujh ko Khabar Hai Judai Tarpayegi Tujhe Har Pal
Isliye Bata de Main Tujh se Wafa Kyun Karoon
Aman Ko Mere Chot Lagay gi Gar Tu Na Mila Mujhe
Tujhe Apna Bana ne Ki Phir Dua Kyun Karoon
Teri Masoomiyat Ko Rab Ne Banaaya Hai Mohabbat Ke liye
Tujhe Na Chahne Ki Phir Main Khata Kyun Karoon
Teri Meri Qismat Ki Raahain Hain Judaa Judaa
Main Phir Teri Banjanay Ki Aarzoo Kyun Karoon
Meri Hathoon Ki Lakiroon Mein Nahi Hai Naam Tera
Main Tera Naam Apne Naam Se Milanay Ki Justajoo Kyun Karoon
Meri Baatain Tere Dil Mein Hamesha Bass Jaati Hain
Is Baat Ki Khabar Rakh Kar Main Koi Guftagoo Kyun Karoon
Joo Bhi Jazbaat Hai Dil Mein Dil Tak Mehfooz Hain
Yeh Bataao Ke Main Unka Zikar Dubara Kyun Karoon
Batoon Batoon Main Benaam Fasaanay Banjaate Hain
Aur Aisi Adhuri Kahaani Ko Main Shuroo Kyun Karoon
Tu kahi bhi rahe..
Tu kahin bhi rahe sar pay tere ilzaam to hai,
Tere hathon ki lakeeron mein mera naam to hai
Mujko tu apna banaa ya na bana teri khushi,
Tu zamanay me mere naam say badnaam to hai
Mere hissay me koi jaam na aaya na sahi,
Teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai
Dekh kar log tujhey naam mera lete hain,
Is pay main khush hoon mohabbat ka yeh anjaam to hai
Woh sitamgar hi sahi dekhke usko ,
Shukar is dil-e-bimaar ko aaram to hai