Waqat ke sath badal jaata hai sab kuch
Magar kuch zakhmo ke saaye nahi jaate
Rooth kar chale jaate hai kuch sathi
Laakh koshish kar ke bhi wapis bulaye nahi jaate
Her khushi ke pal main, chamak jaate hai do ansoo ankhon mai
Lakh puche koi, kuch jawab kabhi samjhaye nahi jaate
Marne ki khwaish mai jeete rahte hai zindagi ko
Kuch sapne hote hai aise, jo kabhi ankhon se thukraye nahi jaate
Laakh jatan hum karle lekin
Dil pe lage Zakhm kabhi bhulaaye nahi jaate…