ajnabi banke mile the jo zindagi me kabhi,
fir ban gaye vo ajnabi ajnabi….
mehki mehki raate thi,mehke mehke din,
aaj ki ye raat naa jaane kyu ajnabi ajnabi….
chaha humne jinhe apne aap se jyaada,
hamaari chahat aaj unke liye ajnabi ajnabi….
ek hi raah nazar aayi hamesha unki aankho me,
aaj har raastaa lag rahaa ajnabi ajnabi….
haatho ki lakeero se hum jinhe churaa laaye the,
aaj vo lakeere lag rahi ajnabi ajnabi…
aankho me jinki hum rahaa karte the kabhi,
aaj vo aankho me hum ajnabi ajnabi….
har pal apnaa banaake jinhe mehfooz rakhaa humne,
aaj unhone rukh badal liyaa kehke hume ajnabi ajnabi….
ajnabi banke mile the jo zindagi me kabhi,
fir ban gaye vo ajnabi ajnabi….
hello there,
ek dard uthaa ye lafz padhkar,
naa jaane kis khuskismat ke liye likhaa hai….
dard hai….maan gaye aapko….
This poem is really great….I have also written one , may be you like it….
आँखों से बहते अश्को मे , मोती दिखलाने आया हू ,
जख्म दिए है दुनिया ने जो , घाव वो भरने आया हू
दिल से जो होती है बातें , वो बतलाने आया हू ,
मीलो पैदल चलकर तुमको , तुम से मिलवाने आया हू …..
**********************************
रात ढले जब छाए अँधेरा , निराश न हो जाना तुम ,
दिन से पहले होती है राते , ये बतलाने आया हू
जो न दिख पाए तुमको वो , राह दिखलाने आया हू ,
मीलो पैदल चलकर तुमको , तुम से मिलवाने आया हू …..
**********************************
साथ न दे जब कोई तुम्हारा , ख़ुद से दूर न जाना तुम ,
करलो ख़ुद को इतना पक्का , गम को हर सह जाना तुम
गम से है खुशियो का नाता , ये बतलाने आया हू ,
मीलो पैदल चलकर तुमको , तुम से मिलवाने आया हू …..
**********************************
जिसको चाहा दिल से तुमने , जब छोड़ तुम्हे वो जाएगा ,
दिल से देना उसको दुआए , चैन तुम्हे आ जायेगा
प्यार वही सच्चा है यारा , जिसमे यार रहे खुश हरदम ,
मीलो पैदल चलकर तुमको , तुम से मिलवाने आया हू …..
MILE AGAR TUJHE VO TO MERA SALAM KAHANA
KARTA HAI TUMHE YAAD TUMHARA GULAM YE KAHANA
not up-to the mark !!!!!!!!!!!
sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya
lehje se uth raha tha har ik dard ka duhan
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya
aawaz mein therao tha aankhoon mein nami thi
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya
jane kya us ko loghon se thi shikayatein
tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya
khud bhi voh hum se bichar kar adhura sa ho gaya
mujh ko bhi itne loghon mein tanha bana diya….
Ajnabi Ajnabi is too good………..
Few lines mere kalam se plz published my sayari in ur website.
“zarori nahi aankh se har ansoo giraya jaye, zarori nahi laboo se he sub kuch bataya jay, aap ki duriyo ka ehsaas hi tod deta hai humko, zarori nahi ye ehsaas har bar jataya jay”.
Manju”Mahiraj”
Hai,
There, I have made my own website that’s mahiraj.wordpress.com plz rly.
lklklkl