zindagi ek chahat ka silsila hai,
koi mil jata hai,koi bichad jata hai,
jise mangte hai hum apni duao main,
vo kisi aur ko bina maange hi mil jata hai…
Duaao me…
Judaai ka anjaam
Tere maasum sawaalo ke jawaab kaise du,
Is dil me chupe dard ka hisaab kaise du,
Saath denaa chahte hai teraa aaj bhi hum,
Par saath ke baad tujhe judaai ka anjaam kaise du….
Diwaana banaa diyaa
Hamara har lamha chura liya aapne,
aankhon ko ik chand dikha diya aapne,
jahaa jaaye bas lagtaa hai aap hi aap ho,
khayaalo me rehkar hume diwaana banaa diyaa aapne…
Humne tujhse hi pyaar kiyaa hai….
gazab kiya tere waade ka aitbaar kiya
tamam raat qayaamat ka intezaar kiya…
teri nigaah ke tasavvur me ae qaatil
tadap tadap ke humne deedar kiyaa…
aaj mai badalnaa chahtaa hu apni kismat
ke har pal kismat ne humpe vaar kiyaa…
aaj raat naa thukraa tu meri is mohabbat ko,
baaho me figal jaao,bas humne tujhse hi pyaar kiyaa….
Yaad reh jaayegi…
Chaha to zindagi se bahut kuch,
magar tujhe pane ki ek pyas si reh jaayegi,
chah kar bhi tujhe pa na sakenge hum,
bus teri meethi si yaad reh jaayegi….
Khushi…
Jab tanhai me aapki yaad aati hai,
Hontho pe ek hi fariyad aati hai…
Khuda aapko har khushi de,
Kyonki aaj bhi hamari har khushi aapke baad aati hai…
Wade pe…
wade pe vo hamare aitbaar nahi karte hai,
aur hum mohobbat zikre-bazaar nahi karte hai….
darta hai dil unki ruswai se
aur vo sochte hai hum unse pyaar nahi karte hai…
Aziz hai…
Na rahi aaj wo apni kahani,
Na wo hasin din na wo ratein suhani,
Phir bhi hame aziz hai unki har nishani,
Chahe dil ka wo dard ho ya ankho ka paani…
Bachpan…
Phirse milne ki takdir mil jaaye,
Jine ke haseen pal mil jaaye,
Chal phirse banaaye saagar pe ret ke Makan,
Shayad wapas Apna Bachpan Mil Jaye…