Tum apni chaahat ka izhaar jo karo…

Sehmi si nigaho me khwaab hum jaga denge,
Is dil ka chain bhi hum lutaa denge,
Tum apni chaahat ka izhaar jo karo,
In palko me hameshaa ke liye tumhe panaah denge…

Apne khaayalo ke har kone me tumhe basaa denge,
Fir to hum us chaand ko bhi bhulaa denge,
Tum apni chaahat ka izhaar jo karo,
Tumhaari khushi ke khaatir hum apne aap ko bhi sazaa denge…

Hasaa hasaa ke hum tumhe rulaa denge,
Rulaate hue bhi hum tumhe hasaa denge,
Tum apni chaahat ka izhaar jo karo,
Hamaari tarah hi hum tumhe deewana banaa denge…

Tanhaai me tumhaari hum mehfil sajaa denge,
Labo pe tumhaari ek muskaan jagaa denge,
Tum apni chaahat ka izhaar jo karo,
Us izhaar ke intezaar me hi hum zindagi guzaar denge…

Published in: on August 30, 2006 at 10:50 am  Comments (53)  

Bin tere…

Khayaal ko kisi aahat ki aas rehti hain,
Nigaah ko kisi surat ki pyaas rehti hain,
Tum bin kisi cheez ki kami to nahi..
Magar bin tere zindagi udaas rehti hain….

Published in: on August 30, 2006 at 6:05 am  Leave a Comment  

Kya faaida…

Bhoolne waale se koi keh de zara
is tarah yaad aane se kya hai faaida

Jab mere DIL ki duniya basati nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida

Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal hee si gayi

Aasra de ke dil todte hain mera
Phir akhir is tarah sataane se kya faaida

Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit saka na zamane se mera nishaan

Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaane par girane se kya faaida

Published in: on August 21, 2006 at 8:29 am  Leave a Comment  

About Me…

untitled2221.jpg

Myself..Natasha…a gal next door…
lovingly called as Nuts
Liked shaayari/shayri/shayari or poems or whatever the collection is called in the world of words… so started a blog of my own.. 🙂
Many are Original ,many are from some unknown Authors…
But the best part is…sharing the happiness around with all who visit my site…

Thanku 4 ur precious time…let me know your even your smallest views.. by clicking on the “comments” along with your email id and your thoughts so that i can reply back…

Feel free to mention your poems in the comments section if you would like them to be published on this blog,the poem may be your original or your contribution(not your original) …..

Published in: on August 10, 2006 at 12:38 pm  Comments (47)  

Kaash mil jaate kahin…

Saal beetey par dil se mere jaa na paaye tum
Shaam ki tanhai mein phir yaad aaye tum

Har subha paaya tumhein khayaalon main apne paas
Raaton ko khwaabon mein mere muskuraye tum

Lagte ho mere apne,jabse gaye ho door tum
Najaane kyun lagte they pehle kuch paraaye tum…

Pyaar hum se be-hisaab tha tumhein phir bhi
Jaane kyun hum se rahey nazrein churaaye tum

Jab talak tum sath they, shikway bhi sath they
Kuch nahi ho ab mohabbat ke siwaaye tum

Thak gaya hoon zindagi ki rehguzar main
Kaash mil jaate kahin nazrein bichaaaye tum…..

Published in: on August 10, 2006 at 12:31 pm  Comments (5)  

Aankh Bhar Jaati Hai………

Ho Gaye Jabse Door Tum Mujse,
Milta Hu Kisise To Aankh Bhar Jaati Hai………
Teri Yaado Ki Khushbu Saath Hai Mere,
Tere Gum Me Sulagata Hu To Aankh Bhar Jaati Hai……… 
Gum Hi Gum Reh Gaye Meri Tanhai Ke Saathi,
Khushi Gar Mile Kabhi To Aankh Bhar Jaati Hai………
Kabhi Likhta Tha Naseeb Khud Apna Mai,
Aaj Maangi Dua To Aankh Bhar Jaati Hai……… 
Kabhi Hota Tha Har Khushi aur Gum Me Shaamil Sabki,
Aaj Baat Kisi Se Kartaa Hu To Aankh Bhar Jaati Hai……… 
Yunn To Mashruf Rehta Hu Mai Saara Din Magar,
Kadam Chaukhat Pe Rakhta Hu To Aankh Bhar Jaati Hai………
 

                                                               – Anonymous

Published in: on August 4, 2006 at 12:27 pm  Leave a Comment