Mushkil hai…

Aashiquii be-dili se mushkil hai,
Phir mohabbat usse se mushkil hai…

Ishq ho jaaye agle pal me yahi chaahat hai,
Sabr kar paana bhi humse mushkil hai…

Aaasan hai hamaare liye dushmani nibhaana,
Par kyaa kare usse dushmani kar paana muhskil hai..

Jis ko sab bewafa samajhte ho,
Bewafaai usee se kar paana mushkil hai…

Har koi hamsaa nahi huaa kartaa,
Aitbaar yahaa kisi pe karpaana mushkil hai…

Zidd hame bhi hai tere chaahat ki,
Par kyaa kare,fir usee gali se jaana mushkil hai…

Ek baar jo tu kehde,to mar mitenge hum,
Kaise bataaye,bin tere reh paana mushkil hai…

Published in: on September 26, 2007 at 12:50 pm  Leave a Comment  

Us ajnabi …

Us ajnabi ka yu naa intezaar kiyaa karo…
Is aashiq dik ka naa aitbaar kiyaa karo…
Roz niklaa kare kisi ki yaad me aansu,
Itnaa kabhi kisi se pyaar naa kiyaa karo…

Published in: on September 20, 2007 at 12:36 pm  Comments (4)  

Meri Deewangi…

Meri khaamoshiyo me bhi fasaana dhund leti hai,
Badi shaatir hai ye duniyaa bahaana dhund leti hai…
Hakikat zidd kiye baithi hai chaknachoor karne ko,
Magar har aankh fir sapnaa suhaana dhund leti hai…
Na chidiya kamaayi ki hai naa kaarobaar hai koi,
Vo keval housle se aabodaana dhund leti hai…
Samajh paayi naa Duniyaa is dil ke raaz ab tak,
Jo suli par bhi hasnaa muskuraana dhund leti hai…
Uthaati hai jo khatra har kadam par dub jaane kaa,
Vahi koshish samundar me khazaana dhund leti hai…
Junoo manzil kaa,raaho me bachaata hai bhatakne se,
Meri Deewangi apna thikaana dhund leti hai…..

                                                                               – Author Unknown

Published in: on September 12, 2007 at 11:58 am  Comments (4)  

Chaar lafzon me

Jab lage zakhm to Qaatil ko dua di jaaye,
Hai yehi rasm to ye rasm uthaa di jaaye…
Hum se Poocho Shayari ka mazaa hai kyaa…
Chaar lafzon me jaise zindagi ka aalam chupaa diya Jaye…

Published in: on September 11, 2007 at 7:16 am  Comments (6)